Printsahi
Home › Sarkari Yojana Guide — kya milta hai, kaun le sakta hai, kaise apply karein

Sarkari Yojana Guide — kya milta hai, kaun le sakta hai, kaise apply karein

Kendra sarkar aur kai rajyon ki yojanayein saral Hinglish mein. Apna rajya chuno, search karo, kisan, mahila, vidyarthi ya buzurg ke hisaab se chhaanto, aur documents ki list print ya WhatsApp par bhejo. Ye sarkari site nahi hai, har yojana ke saath official link diya hai.

Sarkari Yojana Guide kholo →

Kaise use karein

  1. Upar wala button dabakar tool kholo.
  2. Search karo ya Kisan, Mahila, Vidyarthi jaise filter chuno.
  3. Umar daalo to sirf wahi yojanayein dikhengi jinke liye aap yogya ho sakte ho.
  4. Yojana kholo, documents dekho aur official site par jaakar apply karo.

Isme kya kya milta hai

Zaroori baat

Ye sarkari website nahi hai. Yojana ki shart, rakam aur tareekh badalti rehti hain, isliye aakhri faisla hamesha official site par dekho. Yahan sirf wahi yojanayein hain jo official sarkari pages se dekhi gayi hain. Jahan rakam ya documents official page par nahi mile, wahan kuch likha nahi gaya hai.

Aksar pooche jaane wale sawaal

Kya ye sarkari website hai?

Nahi. Ye ek free jaankari tool hai. Apply karne ke liye har yojana ke official link par jaana hota hai.

Kya mujhe login ya registration karna padega?

Nahi, bina login ke chalta hai. Aapki umar ya jaankari kahin save nahi hoti.

Meri state ki yojana kyun nahi hai?

Kuch rajyon ki yojanayein abhi judi hain. Jin rajyon ki verified yojana nahi mili, wahan Kendra ki yojanayein dikhti hain, aur hum aage jodte rahenge.

Ayushman card kitni age mein banta hai?

Ayushman Bharat PM-JAY mein umar ki koi seema nahi hai. Parivar ke size, umar ya ling ki bhi seema nahi. Card banega ya nahi, ye parivar ki aarthik sthiti (SECC 2011 data) par depend karta hai. 70 saal ya usse zyada umar ke buzurgon ke liye alag yojana Ayushman Vay Vandana hai.

Kya mera parivar Ayushman card ke liye yogya hai, kaise check karein?

mera.pmjay.gov.in par Am I Eligible se check karo, ya toll-free 14555 par call karo, ya nazdiki CSC par jaakar jaanch karwao. Tool mein Ayushman yojana kholkar poori shart aur documents bhi dekh sakte ho.

Ayushman card se kitne ka ilaaj milta hai?

Har parivar ko saal mein Rs 5 lakh tak ka cashless ilaaj, empanelled sarkari aur nijee aspataalon mein. Aakhri rakam aur shart hamesha official site par dekho.

Ye bhi kaam aayenge